Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga...


By Javed Akhtar
By Nasir Zaidi
Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga
Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga
Jaise Khilta Gulaab
Jaisae Bijli Ka Noor
Jaise Shaayar Ka Khwaab
Jaisae Jannat Ki Hur
Jaise Ujli Kiran
Jaisae Apno Ka Saath
Jaise Van Mein Hiran
Jaisae Dulhan Ka Haath
Jaise Chaandni Raat
Jaisae Neel Gagan
Jaise Narmi Ki Baat
Jaisae Meera Magan
Jaise Mandir Mein Ho Ek Jalta Diya
Jaisae jheel mein ho ek khilta kanwal
Ho Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga
Ho Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga

Ek Ladki Ko Dekha Tou Aisa Laga
Ek Ladki ko dekha tou aisa laga
Jaise Subahon Ka Roop
Jaisae Shaam Suhani
Jaise Sardi Ki Dhoop
Jaisae Pariyon ki Rani
Jaise Veena Ki Taan
Jaisae Motiyon ka haar
Jaise Rangon Ki Jaan
Jaisae Baaghon mein bahar
Jaise Balkhaaye Bel
Jaisae Taaron ki baraat
Jaise Lehron Ka Khel
Jaisae achche halaat
Jaise Khushboo Liye Aaye Thandi Hava
Jaisae Mir ki ho koi meethi ghazal
Ho Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga
Ho Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga

Ek Ladki Ko Dekha Tou Aisa Laga

Ek Ladki Ko Dekha Tou Aisa Laga
Jaise Naachta Mor
Jaisae koyal ki kook
Jaise Resham Ki Dor
Jaisae pyaar ki bhookh
Jaise Pariyon Ka Raag
Jaisae phoolon ki shaakh
Jaise Sandal Ki Aag
Jaisae hirni ki aankh
Jaise Sola Singhaar
Jaisae qos o qaza
Jaise Raski puhaar
Jaisae rab ki raza
Jaise Aahista Aahista Badhta Nasha
Jaisae sapno ka ho ek tajmahal
Ho Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga .
Ho Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga




- NZ
1.1.2020
BN: 221

Comments

Popular posts from this blog

My Mother named me Haider

The Lady in Red

Zaidis and Wastis